BAAZ - JJ47 x TALHAH YUNUS x TALHA ANJUM (Prod. JOKHAY)

preview_player
Показать описание
#JJ47 #TalhahYunus #TalhaAnjum #Jokhay
4th Track from 'Abhi Mashoor Nahi'
Produced, Recorded & Mix Mastered by @Jokhay
Written/Performed by JJ47, @TalhahYunus & @TalhaAnjum

Connect:

JJ47

Talhah Yunus

Talha Anjum

Jokhay
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

Lyrics:

Verse 1 JJ47
Dunya lagi hui Eid k mahool main
Aik hum jo Teri deed k mahool main
Kya kya likh deta hun neend k mahool main
Main aney k liye razi hun Mureed k mahool main
Betha rehta hun umeed k mahool main
Tu pani tk nahi puchti yazeed k mahool main
Lagey parey ab Sangeet k mahool main
Hum haarney ko razi hain is Jeet k mahool main

Main khud talash main, milen mujh jesay log nahi
Main ik bahar aur to mausamon ko Rok nahi
Tu ik Pehar hai meri soch main sama hua
Main likhun sher tujhe shayari ka shauq nahi

Dekhu aena to hota hai malaal mujhe
Wo mazi baney jinsey puchna tha haal mujhe
Rab ka wasta na mushkilon main daal mujhe
Soch qaidi banaye aa kr bahaal mujhe

Kya Kamal mujhe, Yeh meri aajzi hai
Main uru aasman pe! Dunya meri kaghzi hai
Tu sochey Barey mere, mu pe anjan baney
Main sb jaan k bhi chup yeh meri saadgi hai

Rakhdien agey tere jo bhi muradien hain
Tum bhi puri kaha ab hum bhi tehrey aadhey hain
Chand safon ki baat Mukti muqatein hain
Tum parhti nahi ho warna hum khuli kitaabien hain

Cheez Konsi insanon sey bachti hai
Doobney sey darey wohi jiske pass kashti hai
Bewajah kesi cheezon main ulajhti hai
Aaa betho Sath peeyo Weed tum pe jachti hai


Chorus (Talhah Yunus)

Lemme talk to ya, drop it’s like hot, baby lock me up,
She got her legs around me, koi baaat nai ab,
Hum kho chukay ek dusre mai, koi raaz nai ab,
Atay baaz nai hum,
Yeah
Atay baaz nai hum,
Milte logon se mizaaj nai ab,
Jab bhi tu sath atay baaz nai hum..
Atay baaz nai ab.
Dunya jaanay mere raaz bhi ab,
Jab bhi tu sath atay baaz nai hum,
Atay baaz nai ab.


Verse 2 Talha Anjum

J Gawah Qalam utha yaar ke liye
De dawa aye hain ilaaj ke liye,
Bad e sabah chali mudato ke baad
Hum likh liya kartay thay geet intizaar ke liye,
rhymes jaati raiga'n ab,
Aur Hum jayein kahan ab?
Mekaday mein mehtaab,
the night's young,
I drink the pain away jo rehta hai I hide
Zehni sakoon dhoondta I hope i find it
Too much on my plate, ye lines aligned hain,
Larkay bheje hate aur utha lein 4 faiday,
Khayali pulao pe launday phelayein raitay,
you're married to the game par wo jaa ke bethi maikay,
Mein betha sochu about the impact, the influence,
In sab mein meri jhallak, mein sab se mukhtalif,
Wo muhabbat mein mubtala aur suntay mustaqil
Hustle aur consistency pe careers ye mushtamil,
kya asaan thi maut?
Kya aik umar thi ya bas aik gham e shaam thi maut?
Koi taruf hua ya phir gumnaam thi maut,
Tum jeetay jee maray ho tou wo naam ki maut,
Mere sheher mein tou aik time pe aam thi maut
Kalla ko rulaye kalakaar ki maut
So my brothers ride with me while the safety's off
agar arhay ho this better be worth the cause,
Wo dete kyun awaaz nai ab,
Dil bardaashta, sirf udaas nai hum,
tum ho yaad humein, tumhein aye yaad nai hum, smoke trees pura din atay baaz nai hum,

ThisisJJ
Автор

Can’t wait to be on same track with them ❤️🙏 inshaallah 🐐

Kold-World
Автор

When ever I heard baaz I get goosebumps when ever TA said " mere sheher me ek waqt pe am thi maut". I can relate it with coz I'm from Bhopal 🇮🇳 and in 1984 there is a gas tragedy which lead to loss of many lives in my city.

Crazygamer-fjem
Автор

3:01 That maut section is probably the greatest lyrical poetry bit in Hip hop ever .

mirzamisbahali
Автор

JJ is underrated as fuck brooo his poetry is on another levelll

iamqafka
Автор

Every time JJ has those 2 3 bars that immediately get tattooed on my brain and i wont forget them ever!!

aliyan._.
Автор

"Mere Shehar mei toh ek waqt mei aam the maut" ONLY GAZA can feel it 🔥

abdullahazhar
Автор

Anjum's poetry is just too fkn good..his voice and the way he delivers it adds much more weight to the poetry

aliyan._.
Автор

JJ verse are so deep and heart touching!

thesam
Автор

Melodies + Yunus = Killer combination💯💕

jaweriaimtiaz
Автор

Goosebumps with every line of Anjum's verse. TA is the greatest and no one near him currently in desi hip hop.

badrishgautam
Автор

Forget that JJ is a rapper, This guy deserves the title SHAYAR

tyunofficial
Автор

Kya asaan thi maut ?
Kya aik umer thi ya bs aik gham-e-shaam thi maut?

Koi ta'aruf hua ya phir gumnaam thi maut?
Tum jeete jee marr'e toh woh toh naam ki maut.

Most favorite lines from Anjum❤️

jibraanjamal
Автор

"Tum ho yaad hamein, Tumhein aate yaad nahi hum".
FINALLY ANJUM BACK!

ahsanasif
Автор

Best talha Anjums verse and they way Yunus carries the verse and transferred to Anjum

Lostpersonality-p
Автор

Was dying to listen Anjum's voice❤️
Ufff🔥

pratyushtripathi
Автор

The king anjum is back his poetry is on another level

usmanwarraich
Автор

the beat is like ocean these three gems are flowing in it hats off to jokhay 👑🐐

fpayaz
Автор

[Verse 1: JJ47]
Duniya lagi hui eid ke mahol me
Ek hum jo teri deed ke mahol me
Kya kya likh deta hun neend ke mahol me
Mai aane ke liye raazi hun, mureed ke mahol me

Baitha rehta hun umeed ke mahol me
Tu paani tak ni puchti yazeed ke mahol me

Lage pade ab sangeet ke mahol me
Hum haarne ko raazi hai is jeet ke mahol me

Mai khud talash me mile mujh jaise log nahi
Mai ek bahar aur tu mausmo ko rok nahi

Tu ek pehar meri soch me sama hua
Mai likhun sher tujhe shaayri ka shaunk nahi

Dekhu aaina toh hota hai malal mujhe
Wo maajhi bane jinse puchna tha haal mujhe

Rabb ka waasta na mushkilo mе daal mujhe
Soch kaidi banaye, aakar bahal mujhe
Kya kamaal mujhе, ye meri aadzi hai

Mai udu aasma pe, duniya meri kagzi hai
Tu soche baare mere munh pe anjaan bane
Mai sab jaan ke bhi chup hi meri saadgi hai

Rakhti aage tere jo bhi murade hai
Tum bhi poori kaha ab, hum bhi tehre aadhe hai
Jis safa ki baat mukhti mukate hai
Tum padhti nahi ho warna hum khuli kitaabein hein

Chize kaun si insaano se bachti hai
Doobne se darre wohi jiske paas kashti hai

Bewajah kin chizo'n me ulajhti hai
Aao baitho, saath piyo, weed tum pe janchti hai

[Chorus: Talhah Yunus]
Let me talk to you
Drop like a it's heart baby lock me up
She get legs around me koi baat nhi ab
Hum kho chuke ek dusre me koi raaz nahi hai ab

Aate baaz nahi hai hum, yeah
Aate baaz nahi hai hum
Milte logo se mizaz nahi ab
Jab bhi tuu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab

Duniya jaane mere raaz bhi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab

[Verse 2: Talha Anjum]
J gawah, kalam utha yaar ke liye (Yeah)
De dawa, aaye hai ilaaj ke liye (Yeah, yeah)

Baate sawa chali muddato ke baad
Hum likh liya karte the geet intezaar ke liye

Rhymes jaati raiga ab (What)
Aur hum jaaye kaha ab
Maikade me mehtaab
The night is young

I drink the pain away jo rehta hai i’ll hide it (Yeah, yeah)
Jehni sukoon dhundhta hun, hope i find it (Hmm)

Too much on my plate, ye lines aligned hai
Ladke bheje hate aur uthale chaar fayde
Khyali pulaav pe launde failaye raayte
You're married to the game par wo jaake baithi maike

Mai baitha sochu 'bout the impact, the influence (Yeah, yeah)
In sab me meri jhalak, mai sabse muqtalif (Sabse muqtalif)

Woh muhobbat me mubtala aur sunte mustakil
Hustle aur consistency pe careers ye mustamil (Facts, facts)

Kya aasan thi maut?
Kya ek umar thi ya bas ya ghum-e-shaam thi maut
Koi taruff hua ya fir gumnam thi maut (Gumnam)
Tum jeete ji mare toh wo to naam ki maut (Na)

Mere shehar me to ek waqt pe aam thi maut (Yeah)
Kala ko rulaaye, kalakaar ki maut
So my brothers ride with me while the safety’s off
Agar aa rahe ho this better be worth the cost (Worth the cost)

Woh dete kyun awaaj nahi ab (Nahi)
Dil bardasht tha, sirf udaas nahi hum (Nahi)
Tum ho yaad hume tumhe aate yaad nahi hum

Smoke trees poora din aate baaz nahi hum, yeah..

[Chorus: Talhah Yunus]
Let me talk to you
Drop like a it's heart baby lock me up
She get legs around me koi baat nahi ab

Hum kho chuke ek dusre me koi raaz nahi hai ab
Aate baaz nahi hai hum, yeah
Aate baaz nahi hai ab

Milte logo se mizaz nahi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab

Duniya jaane mere raaz bhi ab
Jab bhi tu saath, aate baaz nahi hum
Aate baaz nahi ab

hddu
Автор

JJ’s lines / TY’s melodic hook / Anjum’s voice / Jhokay IYKYK 💕

Ayyan