Kali Kali Zulfon Ke | Kabul Bukhari | Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab | Cover Song

preview_player
Показать описание
Bookings and queries: The Right Management +91 9915982444

Kali Kali Zulfon Ke originally sung by Nusrat Fateh Ali Khan Sahab. Just a humble attempt. Hope you all like it ❤️

Cover Song Credits:
Singer: Kabul Bukhari
Music: Kabul Bukhari and Lubhanu Priy
Video: Rohann Malik
Edit: Monday Morning Films

Streaming on all music platforms🎼

Lyrics:

Aap is tarah toh hosh udaaya na kijiye
Yoon ban sanwar ke samne aaya na kijiye
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo

Na chhdedo humen hum sataye huye hain
Bauhat zakhm seene pe khaye huye hain
Sitamgar ho tum khoob pehchante hain
Tumhari adaoun ko hum jante hain

Daghabaz ho tum sitam dhane wale
Fareb E Mohabbat me uljhane wale
Ye rangeen kahani tumhi ko mubarak
Tumhari jawani tumhi ko mubarak
Hamari taraf se nigahen hata lo
Humen zinda rehne do ae husn walo
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo

Achi surat ko sanwarne ki zarurat kya hai
Sadgi mein bhi qayamat ki adaa hoti hai
Tum jo aa jaate ho masjid me adaa karne namaz
Tumko maloom hai kitno ki qaza hoti hai

Mast akhon ki baat chalti hai
Maikashi karwaten badalti hai
Ban sanwar kar wo jab nikalte hain
Dilkashi sath sath chalti hai

Haar jaate hain jeetne wale
Wo nazar kaisi chaal chalti hai
Jab hatate hain rukh se zulfon ko
Chand hasta hai raat dhalti hai

Bada kash jaam tod dete hain
Jab nazar se sharab dhalti hai
Kya qayamat hai unki angdayi
Khich ke goya kamaan chalti hai

Yun haseeno ki zulf lehraye
Jaise nagan koi machalti hai
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo

Smbhalo zara apna anchal gulabi
Dikhao na hass hass ke ankhen sharabi
Salook inka duniya me achha nahin hai
Haseeno pe hum ko bharosa nahin hai

Uthate hain nazren to girti hai bijli
Adaa jo bhi nikli qayamat hi nikli
Jahan tumne chehre se aanchal hataya
Wahin ehl e dil ko tamasha banaya
Khuda ke liye humpe dore na daalo

Humen zinda rehne do ae husn walo
Kali kali zulfon ke phande na dalo
Humen zinda rehne do ae husn walo

#qawali #nusratfatehalikhan #nfak #sufimusic #sufi #poetry #shayari #sadshayari #sadpoetry #ghazal #livemusic #liveshow
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

भाई जी गजब गया है मजा आ गया बार बार सुनता हूं मैं आपका यह कवाली ऐसा आप आगे और भी गए मजा ही आ जाएगा धूम मचा देंगे आप

virendersharma
Автор

Excellent, mon vor jata hai aise gana sunk

rahulsengupta
Автор

Aise gaane ab kanha sunane ko milta hai.

Mrks-uijq
Автор

Masallah aj saare songs sun lenge apkae❤🥂

shobhatripathi
Автор

So beautiful, so elegant juz singing like

shabirshah
Автор

Mind-blowing sir dil ko sukoon milta hai. Aapke gane ko sun kar. Thank you so much.

Rahulkumar-ucsk
Автор

Your voice pure soul of sukkoon - Ruhani awaz hai aap ki... Hard hit to heart... Masa Allah subhana allah

cartoon__story
Автор

Woww..wowww..wowww❤❤oh my god yarr..खूबसूरत 🎉

kiranvala
Автор

Wo specs wala guy 😅😊😊bht acha hai.. mashallah 😊

mohammedfaizan
Автор

These songs have multiple meanings....mehboob ke badalte hi matlab bhi badal jata hai...have you ever noticed...ustad jindgi ga rahe hai...❤😊

sagarsrivastava
Автор

wow kia lirics hn♥♥♥sach main dil ko cho gay

saqibhussain
Автор

Sir aap bohot achha gate ho mai aapki bohot bari fan hu ❤ aap yese hi gate rahiye

ArchanaRoy-xryy
Автор

Bahut khub .... Kamaal, kya gaya hai bhai

singhajay
Автор

Mujhe to Bar Bar sunane ka man Karta hai bhaiya kya mast gay super❤

devanshtripathi
Автор

Bohot pyara song hai ❤❤❤wah dil jeet liya

sachinbhakre
Автор

Massallha massallha 👍👍 bhout khud bhout khud 🎉🎉🎉

ArmanSinghVerma
Автор

Mashallah umda performance h 🎉dili shukriya ❤❤❤

aasifkhan
Автор

Behtreen singing. Bahut khoob Kabul bukhari ji❤❤❤❤❤

rakeshbalmiki
welcome to shbcf.ru