Why We LEFT PAKISTAN 🇵🇰? 5 Reasons | Emotional Story 😭 Life Update | BaBa Fun RRC | Ramish Ch Vlogs

preview_player
Показать описание
👉Transparent trading, fast deposits and withdrawals, unlimited demo account and more!
🔥 Get a 50% bonus on your deposit with my promo code BABAFUN
With care from Binomo: your capital may be at risk 🙌

-----_----------_---------_-----------_------

Why We Leave PAKISTAN 🇵🇰? 5 Reasons | Emotional Story 😭 Life Update | BaBa Fun RRC | Ramish Ch Vlogs

Follow me on Instagram-
@ramishrizwanch

Facebook : @ramishrizwanch

Tiktok: @ramishrizwanch

Snapchat : ramishch99

For Business Inquiries
⬇⬇⬇⬇⬇⬇

I hope you enjoyed this video
hit like.
And do subscribe to my channel
Thank you so much for watching
God bless you all.
lots of ❤️
My Vlogging setup-
Iphone 12pro max
Mini Tripod
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

👉Transparent trading, fast deposits and withdrawals, unlimited demo account and more!
🔥 Get a 50% bonus on your deposit with my promo code BABAFUN
With care from Binomo: your capital may be at risk 🙌

BaBaFunRRC
Автор

لکھتے لکھتے قلم ختم ہو جائے گی لیکن میرے پیارے رسول جناب محمد الرسول اللہ صلی اللّٰہ علیہ وسلم کی تعریف کبھی بھی ختم نہیں ہو گی

NoorAlQuranStudio
Автор

Shuru shuru main ye neat, green and clean countries bohot appeal karti hain. Baadal aur baarish haseen lagte hain. Lekin kuch waqt guzar jane ke baad ehsaas hota he ke roz roz ke baadal aur baarishain kitni depressing hain.

Phir kuch dair baad ehsaas hota he ke yahan kitni tanhai, udaasi aur veerani he. Sabzion aur phalon main apne watan jesa zaiqa he nahi milta. Phir pata chalta he ke in countries ke restaurants main jo khana milta he, uss main bhi Pakistani khanon jesi lazzat nahi hoti. Intehai expensive hone ke bawajood, khanon ka wo meyar wo zaiqa he nahi milta.

Jab insaan apni jawani main, in countries main kuch khaab basaye hijrat karta he, tab shuru shuru main bohot optimistic hota he, usay lagta he bas kuch he arse ki baat he, phir main bohot taraqqi kar loon ga, pese zyada kama loon ga, phir nationality milne ke baad jab dil chahe ga apne watan aaun ga jaaun ga, aur walidain ko ya behen bhaion ko bhi bulwaun ga.

Lekin permanent residency se nationality milne tak ke safar main bohot kuch tabdeel ho jata he.
Is arse main aap apne ghar walon ke liye ek madham si yaad ban kar reh jate hain jo sirf phone ya message par taaza hoti he. Out of sight, out of mind wala hisaab hota he. Aap ke apne walidain ke ghar main aap ki wo jaga nahi rehti jo aap kabhi chor kar aaye thay. Aap ke walidain aur behen bhaion ke dilon main bhi kisi had tak aap ka wo maqaam baki nahi rehta.

Aap ka rishta apne ghar walon se, bari had tak, un ki zaruriayaat tak mehdood ho jata he. Maslan, behen ki shadi ke liye kharcha, bhai ki shadi ke liye kharcha, surgery, bijli ka bill, mausam ke suit, motor cycle, gari aur najane kya kya. Yeh experience khaas tor par middle aur upper middle class logon ke liye hota he. Aur jin ke ghar wale ameer hote hain un ke aur tarha ke kharche hote hain. Aur wo bhi aksar yehi chah rahe hote hain ke baahir jane wala bhai ya behen un ke ya ghar ke kisi bhi muamle main dakhal andaazi na kare.

Aur jo young families zyada taraqqi karne ke chakkar main in jesi countries main aati hain aur jab un ke bache hote hain aur jab wo yahan ke education system main enter hote hain, phir wo ek na khatam hone wala cycle hota he. Jab tak aulaad university graduate kar ke further post graduate karti he tab tak un ka mindset, completely change ho jata he. Wo bache kabhi bhi Pakistan ja kar settle nahi ho sakte, kunke un main wo street smartness nahi hoti ke wo wahan ja kar koi business kar sakain ya settelle ho sakain.

Lekin dusri janib, waqt ke saath saath wo young couple, jo kabhi taraqqi karne ka khaab basaye in jesi countires main migrate ho kar aaya tha, usay ye ehsaas hota he ke is taweel arse main uss ne bohot kuch kho diya. Maslan, walidain (dono, ya dono main se kisi ek) ki wafaat, couzin aur best friend ki shadi, Eid, Saalgirah waghera waghera. Han, kuch log in events ko attend karne ke liye bar waqt pohonch bhi jate hain. Lekin aksariyat nahi ja paate, aur uss ki bohot si reasons hain, jese ke, bachon ke exams, funds ki kami, permanent residence ya kisi aur paper work ka intezar, annual leave ki unavailability. Ya aksar log, in countires main, apna zaati ghar ( mortgage per ) lene ke chakkaron main hote hain, jis ki waja se un ki aamadni ka bara hissa ghar khareedne ke ke liye deposit jama karne ke liye save ho raha hota he. Aur bhi beshumar wajuhaat hain. Western countries ki nisbat, middle eastern countires se apne watan jana abhi bhi nisbatan aasaan hota he, kunke distance itna zyada nahi hota aur tickets bhi relatively affordable hoti hain.

Bahar haal, baat itni si he ke, apne watan jesa koi watan nahi. Aur watan jesi zindagi kahin aur nahi. In mulkon ki zindagian bas door se achi lagti hain, yahan zindagi bohot mushkil he. Har kaam, ghar ka ho ya bahir ka, aap ko khud he karna parta he.

Shayed ye comment kisi ko faisla lene main madadgaar saabit ho.
Agar insaan ke paas pesa he tou in countries main sirf ghoomne phirne ki had tak aaye.
Aur zindagi apne watan main, apnon ke saath, apne waalidain behen bhaion ke saath he
guzare. Agar ghar walon se disagreement he tou koi baat nahi, sepearte reh lain, lekin phir
bhi ek dusre ki khushi ghami main kam az kam shaamil tou ho sakain ge.

Tou phir, baahir rehne waale jab itni mushkilaat ka shikar hote hain tou wo apne watan waapis kun nahi chale jate, rona kun rote rehte hain ?

Kunke, majority logon ke resources, pesay, baahir he lage huwe hote hain aur wo sab wind up karna bohot mushkil hota he. Ye masla hal ho bhi jaye, tou bache apne waalidain ke watan jaane per raza mand nahi hote aur unn ka is main kasoor bhi nahi hota. Kunke wo usi zindagi ke aadi ho jate hain. Albatta, Kuch examples dekhi gai hain jahan husband and wife dono ko jese he is baat ka shaoor ho jata he wo sab kuch wind up kar ke waapis apne watan chale jate hain. Lekin ye har ek ke bass ki baat nahi hoti. Na he kisi ke pass itne funds avaialable hote hain ke wo waapis ja kar ghar bhi le lain, business bhi set kar lain etc etc.

Havvakibeti
Автор

بھائی یہ دنیا ایسی ہے اس کے پیچھے جتنا مرضی بھاگو یہ اگے بھاگے گی اس لئے ہمیں ہمیں دین کو ترجیح دینی چاہیے اور اللہ تعالی ہماری اخرت

kamrangali
Автор

Naaa shukri ki ala masal h k apny ap ko tough time daina tha ... Apk pass agar pakistan nay itnaa kuch tha to ap yahan yateemo maskino k liyeh kuch karty apnay ap ko masrof b rakhty or dil may zameer nay sakoon b milta

haiderbhai
Автор

اور وہ فلسطینی ہیں جو اپنی بدترین حالت میں بھی اپنا وطن چھوڑنے کو تیار نہیں .

ab_syed
Автор

Bhai hum bhi Narowal ke hain ur is waqt South Africa me business kr rahy ha...Ur Apny Country se bohat Pyar karty ur Yaad krty ha...Families hamari pakistan me hain...Alhamdulillah yaha sari facilities ha lakin kabhi pakistan chorny ka nae socha...Ur ap ke Vlogs hum is liye dekhte thy kyun ke humy khushi hoti thi ke ap bhi Narowal se belong krte ha...Lakin ap ki Reasons sun kr bohat dukh hwa...Narowal Bohat acha city ha...agr gandagi ha to Towns bhi Bohat achy ha...Choice apni haisiyat ke hisab se hoti ha...is lehaz se to ap ke parents bhi Pakistan me ha agr ap ke liye pakistan ka environment acha nae tha to ap ke parents ke liye kese acha ha...ap ko unhy bhi phr sath le kr jana chahiye tha na...jis country ne ap ko itni izat di us ke bary me ap ko aesa nahi kehna chahye tha...ap ko apny country ko support karna chahye ...Very Disappointed

tamoorkhan
Автор

Kittna kittna aor kittna. Islamabad m bhi Akellye Rahsakte thaye.. wahee Kamate Aor poriy Duniya Bhi Ghomte.. aor Maa BaBa to Sathe hote..
❤❤❤❤❤❤❤❤

zareenshah
Автор

Insan bohat naa shukria hay, Allah bohat ziyada b nawaaz day tou phir b aor aor ki huwas lagi rahti hay, Allah Ka shukar Ada Kia karain, Allah nay Kahan say Kahan ponchaya hay

beena-dm
Автор

Maa bapp sey zadea qeemty cheez duniya mai khuch nahi un ke duway dunuyia mai paa ley samjho duniya paa ley... 😢

humasyed
Автор

Your wife is the only reason sasural may reh nae sakti thi madam

foodiescelebritiesvideos
Автор

Bohat fazool batyn.... family bohat important hoti ..ye rishty nai milty..Maa baap.behn bhai...sb sy brh kr family ❤❤

farzanafmt
Автор

Ramish bhai kahan ap ny zero sy start kiya hai New Zealand aa kr zero sy krty to lg pta jata😂😂

AmnaKhurram-xhxx
Автор

اپنوں کو سے دور جانا آسان نہیں ہے اللّٰہ پاک آپ کو بہت خوشیاں نصیب فرمائے آمین
ماشاءاللہ ماشاءاللہ

foziashahid
Автор

Kafi invaluable reasons hen or fazool bhi app dono kafi nashukry hen Allah ka khouf kren agr itna sukh tha Pakistan men to Islamabad shift hojaty maan baap ko sath rkhty Allah talaa ki ibadat krty or agr duniya fhomni hai to kese bhi banda ghom skta hai udhr kufar ke mulk men to aulad ki tarbiyat bhi kufar ke nazriye pr hogi baqi Allah apko logon ko samajh de or hidayat de.

maria.mehwish
Автор

Assalaamualykum bhai ramish pehli bat meri b ankhen num ho gai apko dekh 🫤baqi ap apny maan baap k sath raho apko dekha ni sakty wo k wo apky bager khush ni hai wo apko ye khushyan apni is liye dekha rahy k pakistan me bohat mazy hain ap apni marzi se wapis ajao unky pas together happy family. Or khas apky baba apky bina adhory hain .me ny apni soch batae. Baqi Allah pak apko mazeed kamiyab kry ameen summa ameen..

duakhanlove
Автор

Mother n father ko udas n rula kr koi aabad n khuch nahi rehta fuzul reasons jatey waqt kinza n unki mother ki khush nazar a rahi thi aap say ziada baba ne strggle ki baba ka ziqr nahi kia afsoos.

nuzhatnaqvi
Автор

Full of natural beauty our Auckland our newzealand but still my country PAKISTAN 🇵🇰

sumaramurtaza
Автор

Main ye pochna cha rhi hon k mom aur baba ko aur ali ko smog se denger nahin hy unhain bhi yahan bula kr sath rkhain ye sub maa ki dua hy ap ky waldain bhi udas hain zindagi hy kitni beta waqat jaldi guzar jata hy jhan rhain apnay waldain k sath rhain Allah pr twakal krain maa ki duaaon se sab thek ho jaye ga your mom is missing you so much

rehananaseem
Автор

ماشاءاللہ آپ نے تو بہت ترقی کر لی ہے ۔کچھ پانے کے لیے تو کُچھ کھونا ہی پڑتا ہے ۔کبھی جینا اور کبھی مرنا پڑتا ہے لیکن پریشان ناں ہوں اللّٰہ تعالیٰ سب بہتر کرے گا ۔انشاء اللہ

mystartalent