'Teray Ishq Ki Inteha Chahta Hun' | HD Video Song | Ghazal

preview_player
Показать описание
Legendary Singer Ustad Rahat Fateh Ali Khan Performing Live...."Terey Ishq Ki Inteha Chahta Hun"
Label : Virsa Heritage
Production: Digital Entertainment World
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

اتنا بہترین کلام اور ایسا بہترین انداز راحت فتح علی خان کا۔ 10 سے زیادہ بار سن چکا ہوں اور بار بار سننے کو جی چاہتا ہے۔ عمدہ

hamzafidasatti
Автор

Iqbal addressing to muslim youth, " tere ishq ki inteha chahta hu " wah iqbal tujhe salam

biglife
Автор

KAUN KAHTA HAI KI RAHAT GATA HAI ? USPER ASHAAR E IQBAAL KA ALQA HOTA HAI. RAHAT FATEH
IQBAAL KE ASHAAR KO JITNI QABLIYAT SE SAMAJHTA HAI UTNI HI DIL KI GAHRAAIYON SE, KALLAM PADHTA HAI, IQBAAL SE RAHAT. KI AQEEDAT KO BAAR SALAAM. FROM INDIA.

kariyabaaman
Автор

Nadaan hai bulbul-e-shourida tera naam abhi
Apne seene mein isse aur zara thaam abhi

Pukhta hoti agar muslehat andaish ho aqal
Ishq ho muslihat andaish to hai khaam abhi

Beqadar kood pada aatish-e-namrood mein ishq
Aqal hai mehv-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi

Ishq farmouda-e-qasid se sabak gham-e-amal
aqal samjhi hi nahi maani ye paigaam abhi

Shewa-e-ishq hai azadi-o-dehr ashobi
Tu hai zunnari-e-butkhana-e-ayyam abhi

Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh, kya chahta hoon

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Ishq teri inteha, ishq meri inteha
Tu bhi abhi na tamaam, mein bhi abhi na tamaam

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Agar ho ishq toh hai kuffar bhi Musalmaani
Na ho toh Mard-e-Musalman bhi kafir-o-zandeeq

Banaya ishq ne dariya na-payda karan mujh ko
ye meri khud nigahdari mera sahil na ban jaye

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Rulaati hai mujhe raaton ko khaamoshi sitaron ki
Niraala ishq hai mera, niraale mere nale hai

Ishq dam-e-jibraeel, ishq dam-e-mustafa
Ishq Khuda ka rasool, Ishq Khuda ka kalaam

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Aqal-o-dil-o-nigah ka murshid-e-awaleen hai ishq
Ishq na ho toh sharaa-o-deen, boutkudda'ay tasawwuraat

Sidq-e-khalil bhi hai ishq, sabr-e-hussain bhi hai ishq
Maarka'ay wajood mein badar-o-hunain bhi hai ishq

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Jamal-e-ishq-o-masti ne-nawazi
Jalal-e-ishq-o-masti be-niazi

Kamal-e-Ishq-o-masti zaraf-e-Haider
Zawal-e-ishq-o-masti harf-e-razi

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Kabhi awara-o-be-khanama ishq
Kabhi shah-e-shahan nausherwan ishq

Kabhi maidan mein ata hai zaraposh
Kabhi uryan-e-be-taeg-o-sanaa ishq

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Kabhi tanhai-e-koh-o-daman ishq
Kabhi souz-o-suroor-o-anjuman ishq

Kabhi sarmaya-e-mehrab-o-manbar
Kabhi maula Ali khaibar shikan ishq

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh, kya chahta hoon

Tere ishq mein, Tere ishq mein...

Yeh jannat mubaarak rahe zahidon ko...

Umeed-e-hoor ne sab kuch sikha rakha hai waaiz ko
Ye hazrat dekhne mein seedhe saadhe bhole bhaale hai

Yeh jannat mubaarak rahe zahidon ko...
Ke mein aapka saamna chahta hoon

Kabhi ae-haqeekat-e-muntazir, nazar aa libas-e-majaz mein
Ke hazaro sajde tadap rahe hai teri jabeen-e-niaz mein

Ke mein aapka saamna chahta hoon...

Koi dam ka mehmaan hoon ae ahl-e-mehfil

Nahi begaangi achhi rafiq-e-raah-e-manzil se
Theher ja ae sharar, hum bhi toh aakhir mitne waale hai

Koi dam ka mehmaan hoon ae ahl-e-mehfil...
charagh-e-seher hoon, bujha chahta hoon...

Sitam ho ke ho waada-e-behijaabi...
Koi baat sabr aazma chahta hoon

Ishq bhi ho hijaab mein, husn bhi ho hijaab mein
Ya tu khud ashkaar ho ya mujhe ashkaar kar

Koi baat sabr aazma chahta hoon...

Bhari bazm mein raaz ki baat keh di...
Bada be-adab hoon, sazaa chahta hoon

Agar kaj ra hain anjum, asman tera hai ya mera
Mujhe fikr-e-jahan kyun ho, jahan tera hai ya mera

Agar hungaama ha'ay shauq se hai la-makan khali
Khata kis ki hai ya Rab, la-makan tera hai ya mera

Usse subah-e-azal inkaar ki jurrat hui kyu kar
Mujhe maloom kya, woh razdaan tera hai ya mera

Muhammad bhi tera, Jibreel bhi, Quran bhi tera
Magar ye harf-e-shireen tarjuman tera hai ya mera

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Meri jafa talbi ko duaen deta hai
Woh dasht-e-sada, woh tera jahaan-e-bebunyad

Maqam-e-shauq tere qudsiyon ke bas ka nahi
Unhi ka kaam hai jin ke honsle hai zayyad

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Huzur-e-haq mein israfeel ne meri shikayat ki
Ye banda waqt se pehle qayamat kar na de barpa

Mein sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Bagh-e-bahisht se mujhe hukum-e-safar diya tha kyun
Kaar-e-jahaan daraz hai, ab mera intezaar kar

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Farig toh na baithega mehshar mein junoon mera
Ya apna girebaan chaak ya daaman-e-yazdaan chaak

Mein sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Roz-e-hisaab jab mera paish ho daftar-e-amal
Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Hum ko jamiat-e-khatir ye pareshani thi
Warna Ummat tere Mehboob ki diwani thi

Hum se pehle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood the pattar, kahi maboot shajar

Khugar-e-paikar-e-mehsoos thi insaan ki nazar
Manta phir koi un-dekhe Khuda ko kyunkar

Tujh ko maloom hai leta tha koi naam tera
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Safah-e-daher se baatil ko mitaya hum ne
nau-e-insaan ko ghulami se chhudaya hum ne

Tere kaabe ko jabeeno se basaya hum ne
Tere qaran ko seeno se lagaya hum ne

Phir bhi hum se yeh gila hai ke wafadar nahin
Hum wafadar nahi, tu bhi toh dildar nahin

Mein sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Ummatein aur bhi hai, in mein gunhagaar bhi hai
Ejz wale bhi hai, mast-e-mai-e-pindar bhi hai

In mein kahil bhi hai, ghafil bhi hai, hushyar bhi hai
saikdon hain ke tere naam se bezaar bhi hai

Rehmatein hai teri aghiyar ke kashaano par
Barq girti hai toh bechaare musalmaano par

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Boott sanam khanon mein kehte hain, musalmaan gaye
Hai khushi in ko ke kaabe ke nigehbaan gaye

Manzil-e-dehr se unthon ke hudi khawan gaye
Apni baglon mein dabaye hue qaran gaye

Khandah zan kufr hai, ehsaas tujhe hai ke nahin
Apni touheed ka kuch paas tujhe hai ke nahin

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoon...

Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh, kya chahta hoon

huzaifaejaz
Автор

Agr ye clear audio me ustad Nusrat qawali krte to kasam se parinde or hevaan bhi ro ro k sunte💯💯💯

khizarmuneeb
Автор

Bhari bazm me raaz ki bat keh di,
bada be adab hu saza chahata Vah gem of pakistan... Love from India...

djayeshv
Автор

Words of Alama Iqbal + voice of Rahat Fateh Ali khan ❤️❤️🔥

busy_nomi
Автор

this is my favourate kalaam e iqbal. and with rahat, it is going beyond of my thoughts.

ophonehkt
Автор

kamal... is ko srf wo smjh skta hai js ny ishq haqiqi kia ho aur majazi bhi

FarrukhMeherviofficial
Автор

Kalaam of Allama Iqbal...what a kalaam with the Almighty..
Bada be adab hoon saza Chahta hoon...the best line n punch of the entire nazm..Rahat sung it so beautifully...

arifhussain
Автор

Tery ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh mai kya chahta hoon
Allama Mohammad Iqbal so much respect 🙏♥️

toobajahan
Автор

Goosebumps!
~Hind se Iqbal ka adna shagird

reflection
Автор

Proud moment is that when Gulam Ali sahab is your audience and listener 😍😍

SDM
Автор

بھری بزم میں راز کی بات کہ دی
بڑا بے ادب ہوں سزا چاھتا ہوں
میری سادگی دیکھ کیا چاہتا ہوں
❤️ حضرت علامہ ڈاکٹر محمد اقبال رَحْمَةُ اَللهِ عَلَيْہ ❤️

گڈےخیلپٹھانکمرمشانیمیانوالی
Автор

Hidden gem. Love from across the border ❤️

nimz
Автор

Rahat Fateh Ali Khan did justice to this kalaam by demonstrating his mammoth skills, passion and energy. Truly special and an absolute treat!!

moneebkhalid
Автор

Be khatar Kudd pada aatish e namrud m ishq
aql hai mahv-e-tamāshā-e-lab-e-bām abhī
Kya kamaal hai ishq
Ishq ne aag Gulzaar kardi subhan Allah

SuperMirzamohsin
Автор

I'm listening this Qawalli at 2 o'clock at night
Love you so much Rahat ji from Bangladesh 🇧🇩

poetn
Автор

Wah Iqbal! ALLAH IQBAL KI QBR KO MUNAWWR KRY.

anasabbasi
Автор

Alama Iqbal is Amazing poet...every single word has Stories behind...great man ♥️♥️♥️

meermehvish