Tere Ishq Ki Inteha | Muhammad Samie | Official Video | 4k

preview_player
Показать описание
Short Sufi Spells (Chapter 2) - The Eighteenth Spell
TERE ISHQ KI INTEHA | MUHAMMAD SAMIE
======================================
Singer: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Allama Iqbal | Abdul Hamid Adam | Mirza Ghalib | Ibrahim Zauq | Jigar Muradabadi | Hari Chand Akhtar | Hafeez Jaunpuri | Bedam Shah Warsi | Seemab Akbarabadi | Fani Badayuni | Wahshat Kalkatvi | Muhammad Samie
======================================
AUDIO CREW:
Music Production: J Ali
Music Direction: J Ali & Muhammad Samie
Harmonium: Muhammad Samie
Tabla: Israr Dildar
Violinists: Muhammad Ilyas, Amjad Ali, Ghulam Ali
Clarinet: Jafar Hussain
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
======================================
VIDEO CREW:
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie
Cinematographer: Suleman Shah
Post-Production: Suleman Shah
Lighting Production: Ahmed Mustafa Studio
Focus Puller: Bilawal Ahsan
BTS DoP: Muhammad Omer
Production Assistance: Light & Grip Production
Art Work & Wardrobe: Muhammad Samie
Production House: Heaven & Hades Productions
A Short Sufi Films’ Presentation
======================================
© 2023 – Short Sufi Spells
© 2023 – Short Sufi Films
======================================
Follow Samie on:
======================================
LYRICS:
Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai

Tere ishq ki inteha chahta hun

Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar bas ..
Tere ishq ki inteha chahta hun

Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
Tere ishq ki inteha chahta hun

Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko

Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko

Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun

Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh
Mein aap ka samna chahta hun

Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi
Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki
Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki
Keh mein aap ka samna chahta hun

Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
Keh mein aamna samna chahta hun

Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
Mein aamna samna chahta hun

Yeh roz-e-hashr hai malik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana
Keh mein aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun

Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada be-adab hun saza chahta hun

Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu
Bada be-adab hun saza chahta hun

Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
Bada be-adab hun saza chahta hun

Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge
Bada be-adab hun saza chahta hun

Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki
Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki!
Bada be-adab hun saza chahta hun

Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga
Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga

Bada be-adab hun saza chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Keh main aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
#MuhammadSamie #TeraIshqKiInteha #ShortSufiSpells #ShortSufiFilms
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

*VERSES BY ALLAMA IQBAL*
Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai

Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun
Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada be-adab hun saza chahta hun

Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh

*VERSES BY ABDUL HAMID ADAM*
Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahi
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath

Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila

*VERSES BY MUHAMMAD SAMIE*
Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar

Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye

Yeh roz-e-hashr hai maalik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana

Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga

*VERSES BY IBRAHIM ZAUQ*
Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu

Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge

*VERSES BY MIRZA GHALIB*
Kya farz hai ke sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki

Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki!

*VERSES BY JIGAR MURADABADI*
Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho ke jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?

*VERSES BY HARI CHAND AKHTAR*
Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga

*VERSES BY HAFEEZ JAUNPURI*
Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki

Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki

*VERSES BY BEDAM SHAH WARSI*
Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin

*VERSES BY SEEMAB AKBARABADI*
Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi

*VERSES BY FANI BADAYUNI*
Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri

*VERSES BY WAHSHAT KALKATVI*
Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho

MuhammadSamie
Автор

Sami bhai insaan ki soch ko aap to next level par le gaye h

faruqueazam
Автор

"Tere Ishq Ki Inteha" mein divangi ka gehra ehsaas hai. Muhammad Samie ki ruhani aur dilfareb adaon ke saath, ye geet sunne walon ko roohani safar mein le jata hai. Is geet ke dilchasp bol aur unki tadap bhari awaz se, Sufi shayari ke asli rang ubharte hain. Sufi sangeet ke deewano ke liye, yeh geet ek anmol chamak hai.

adnanazfar
Автор

الفاظ کا چناؤ بہت اچھا ہے ❤❤ ماشاء اللہ

abrashnoor
Автор

Likhny walay Be-Misaal
Ganay walay-Ba Kamal!
Sir much respect!🙏🏻❤️

ameerabdullah
Автор

MASHALLAH LA QOOTA ILLA BILLA, ALLAH S.W.T NAY JO KAM APP SY LEA HAY, APP KO BOHAT BOHAT PASHGEE MUBARIQ BAD. ROHANIAT KAY JAM PEETAY RAOU, ISHIQ ELLAHI MEIN DOBTAY JOU, EMESHA SALAMAT SHAD O ABAD RAOU AAMEEN ❤❤❤❤❤❤❤

maliktahirhaleem
Автор

Samie is the most unique, original and talented artist of Pakistan industry right now.

shahaanfaazil
Автор

کمال ھے شاعری اور اس سے بڑھ کر ھے ادائیگی

dr.naeemzafar
Автор

Ma sha Allah ❤
No alfaz to defined this mysticism ❤
Hamesha Aise hi Piyari Awaz Se Hamien Khush Karte Rahain...❤
Love you ❤😊

ShiekhTayyabHassanVlog
Автор

بہترین اشعار کا انتخاب اور انداز بیاں کا تو کیا ہی کہنے۔ ❤❤❤❤

farooqi
Автор

Whole purpose of life summed up in 12 minutes, to some it may be kufriya kalam but to known ones it is the way of life, love and respect from Kashmir surely you are the blessed one and cup bearer sami ❤

Kashmiripeaks
Автор

mashAllah words our so heart touching ❤❤❤

ayeshanoor
Автор

My Heart melts while listening this Masterpiece 😌

Soul-ej
Автор

Allama Iqbal (5 couplets)
Abdul Hamid Adam (4 couplets)
Muhammad Samie (3 couplets & 1 verse)
Mirza Ghalib (2 couplets)
Ibrahim Zauq (2 couplets)
Jigar Muradabadi (2 couplets)
Hari Chand Akhtar (2 couplets)
Hafeez Jaunpuri (2 couplets)
Bedam Shah Warsi (1 couplet)
Seemab Akbarabadi (1 couplet)
Fani Badayuni (1 couplet)
Wahshat Kalkatvi (1 couplet)

Stay Tuned for Detailed Poetic References :)

MuhammadSamie
Автор

❤❤❤ محمد سمیع بہت اعلی کمال انداز میں پڑھ دیا ہے لاجواب

khawjamasood
Автор

Woahhh! I have never been to a rollercoaster but I bet this is what it would feel like, literal goosebumps, I don't know what to write, but I can definitely say that this brings a lot of questions and nights of thinking deep. Mind blowing 🔥🔥🔥

umberyaqoob
Автор

Sami bhi you are the great.
1 bar skhikwa or jawaby shikwa b ho jay.

SaifUllah-yh
Автор

Both time bad Dil ko choo lane wale voice mile sunene ko .
Kalam pashe krne ka andaz kamaal. 👍

noshiND
Автор

Main amnashamna chata hoon, bahut khoob gazal, or damdar awaaz, Dil se aansu nikal diye is gazal ne khuda aap ko
umar e daraj karein, ❤🙏

tarsemlal
Автор

بھائی کلام سنتے ہی جیسے ایک لہر دوڑھی اور خود کو ربط خداۓ ذوالجلال کے ساتھ پایا۔۔
سمی بھائی آپ بڑی محنت کرتے ہیں ۔
ماشاءاللہ

saqivoice