filmov
tv
Satyamev Jayate S1 | Episode 3 | Big Fat Indian Wedding | Episode song - Rupaiyaa (Hindi)
Показать описание
With punchy, powerful lyrics by Swanand Kirkire, composed by Ram Sampath and given voice by the mesmerizing Sona Mohapatra, Rupaiyya! is a poetic tribute to the true worth of women.
----- CREDITS---------
Song - Rupaiya
Composer :- Ram Sampath
Singer :- Sona Mohapatra
Lyrics :- Swanand Kirkire
Recorded By :- Yash Divecha
Mixed By :- Ram Sampath & Yash Divecha (Omgrown Music)
Additional Arrangements : Shon Pinto
Producer :-
Sona Mohapatra
(For OMGROWN MUSIC)
----- Rupaiyya lyrics ----
Babul Pyaare Sajan Sakha Re
Sun O Meri Maiyya
Bojh Nahin Main Kisi Ke Sar Ka
Na Majhdhaar Mein Naiyya
Patawaar Banoongi
Lehron Se Ladoongi
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
VERSE 1
Kal Baba Ki Ungli Ko Thaame Chali Thi
Kal Baba Ki Laathi Bhi Ban Jaaoongi
Amma Tere Gharaunde Ki Chidiya Hoon Main
Daana Lekar Hi Vaapas Ghar Aaoongi
Jiski Fitrat Mein Gairat Samaayee Nahin
Jisko Daulat Se Zyaada Mein Bhaayi Nahin
Aise Saajan Ki Mujhko Jaroorat Nahin
Na Kehne Ka Sun Lo Muhurat Yaheen
Akeli Chaloongi
Kismat Se Miloongi
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
VERSE 2
Dil Se Dil Ke Taar Toh Jude Nahin
Toh Rasmon Pe Daulat Ye Kaahe Bahe
Hum Toh Pyaar Ke Khwaahish Mein Rishte Bunein
Toh Rishton Mein Laalach Hum Kaahe Sahe
Kya Shaadi Ke Aage Zindagi Hi Nahin
Jo Shaadi Hisaabon Ki Kewal Hain Bahi
Aisi Shaadi Ki Mujhko Jaroorat Nahin
Na Kehne Ka Sun Lo Muhurat Yaheen
Subah Si Khiloongi
Ratiya Si Dhaloongi
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
Babul Pyaare Sajan Sakha Re
Sun O Meri Maiyya
Bojh Nahin Main Kisi Ke Sar Ka
Na Majhdaar Mein Naiyya
Patawaar Banoongi
Lehron Se Ladoongi
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
Arey Mujhe Kya Bechega Rupaiyya
Комментарии