Wadhaiyan | Daniyal Ali Hassan | Manqabat | #youtubeshorts

preview_player
Показать описание
#Wadhaiyan | #DaniyalAliHassan | #Manqabat | #shorts | #shortfeed | #song | #youtubeshorts
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

Professor Sahib kuch loog deen ke bari bari baatin karty hain jab kay khud amal nahi karty lekin Professor Sahib aap deen ke baatin batany kay sath khud bhi amal karty hain ibadat ke taraf ziyada tawajo dety hain aap ka behtar amal aur aala ikhlaq loogon ko aap ke oor khench raha hai Mashallah loogon kay dilon main aap nay apna khas maqaam bana liya hai .

nsbjee
Автор

jo dosron ke raaz wali baaton ko raaz main rakhy wo sab sy behtar raaz dar hota hai, aj kal aesy loog buhat km nazar aaty hain jo baaton ko raaz main rakhin magar Professor Sahib aap main ye khobi majod hai aap dosron ke raaz wali baatin raaz main hi rakhty hain aik raaz dar insaan ban kay aap nay dosron ka bharosa jeeta hai ab loog bakhushi aap sy apni baatin share karty hain .

nsbjee
Автор

Prof shb aj kal kuch loog deen ke taraf rujhan na rakhty hoye dosra rasta bhi ikhtiyar kar lety hain lekin aap nay deen ke taraf apna dili rujhan rakhty hoye Ahl e bait ke madha sarai karne ko pasand kiya hai aap nay achy rasty ke taraf qadam rakha hai aap nay apne liye behtar raah montakhib ke hai yeh raah aap ko achi manzil ke taraf lay jaye ge jab insaan behtar raah ke taraf safar kare to usy kai doshwariyon ka bhi samna karna parrta hai magr khud ko mazbot banane wala insaan hi doshwariyon ka moqabila kar kay iss raah pay safar karty hoye kamyab rehta hai Prof shb ap bhi kai doshwariyon ka samna karty hoye behtar raah ke taraf safar kar rahy hain apne qadam aagy barha rahy hain aur amal e saalhy kay zariye apni ukhrwi zindagi ko behtar banane ke koshish kar rahy hain mola aap ke har mushkil ko asan farmain aap ko tamam balaaon aur har sharr sy mehfoz rakhein elaahi ameen .

nsbjee
Автор

insaan kay upar buhat sari mushkilaat aur preshaniyan aati hain kabhi wo apno ke taraf sy hoti hain to kabhi wo geeron ke taraf sy , halaat aesy bany to aagy barhany kay liye bhi qadam dagmagany lagty hain lakin Professor Sahib aap aesy halaat main sabar karty hoye khud ko mazbot bana kar zindagi ke haqeqat ko samjhny ke koshish karty hain aap ka sabar aur aap ke himmat qabil e sataish hai .

nsbjee
Автор

Professor Sahib Mashallah kalaam ka title buhat khoobsorat zabardast hai title parh kay hi dil khush hu jata hai aap jo kalaam bhi parhty hain us ka title acha select karty hain aap ka work excellent hota hai .

nsbjee
Автор

Koi bhi kalaam parha jaye to khoobsorat awaz kay sath khoobsorat tareqa e adaigi bhi dekhi jati hai awaz ke khoobsorati to buhat loogon kay pas hoti hai lekin tareqa e adaigi main har koi mahaarat nahi rakhta Professor Sahib aap nay apni khoobsorat dheemi awaz kay sath khoobsorat tareqa e adaigi main bhi mahaarat hasil ke hai ab jab bhi aap kay parhe hoye kalaam loog dekhty hain to wo aap ke awaz kay sath aap ke tareqa e adaigi ke bhi tareef karty hain .

nsbjee
Автор

Mashallah Professor Sahib apni bharpor mehnat kay sath buhat km time main aap new video laye hain islami tareekh ka koi bhi khas din hu ya koi khas waqia jurra hu aap ke yahi koshish hoti hai new video bana ke sab ko deen sekhny samjhny ke targeeb dilaon Mola Ali a.s aur Bibi Fatima Zehra s.a ke rukhsati ka din buhat khushi ka din hai aap nay bhi apni iss khushi aur aqqedat ka izhaar lehan ke sorat kiya hai .

nsbjee
Автор

Sakhi insaan wo hota hai jo dosron pay apna maal kharch kare jin main ( gareeb, maskeen zarorat mand ) shamil hain aur kuch loog bajaye dosron pay kharch karny kay kanjosi ikhtiyar karty hain magar aesa insaan jo kisi ko dokh preshani main nahi dekh sakta wo aap hain Professor Sahib loogon nay aap ko gareebon maskeeno aur zarorat mando ke halp karty dekha hai aur aap ke sakhawat ke misalein bhi dety hain .

nsbjee
Автор

Professor Sahib kalaam ke sari lines buhat achi thi lekin yeh lines buhat ziyada pasand ai hain
آدم موسیٰ عیسیٰ رل کے انج سوہنیاں رونقاں لائیاں نیں ہر نبی نے خوشیاں ونڈیاں نیں صلوات دیاں دوہائیاں نیں

nsbjee
Автор

Professor Sahib koi aham mamla hu ya koi Ikhtilaf ka masla hu aap darmiyana rasta ikhtiyar karty hoye maslehat sy kam lety hain aap ke ye aadat sab ko achi lagti hai aik samjhdar insaan hi maslehat ikhtiyar karta hai aap Mashallah parhe likhy ba shaoor aur samjhdar insaan hain aap ke samjhdari ka dil motariff hai .

nsbjee
visit shbcf.ru