Firaq Gorakhpuri (#4). Raat Bhi Neend Bhi Kahani Bhi. Read by Vikas Phonsa

preview_player
Показать описание
raat bhī niiñd bhī kahānī bhī
haa.e kyā chiiz hai javānī bhī

ek paiġhām-e-zindagānī bhī
āshiqī marg-e-nā-gahānī bhī

is adā kā tirī javāb nahīñ
mehrbānī bhī sargirānī bhī

dil ko apne bhī ġham the duniyā meñ
kuchh balā.eñ thiiñ āsmānī bhī

mansab-e-dil ḳhushī luTānā hai
ġham-e-pinhāñ kī pāsbānī bhī

zindagī aag bhī hai paanī bhī

shād-kāmoñ ko ye nahīñ taufīq
dil-e-ġham-ghīñ kī shādmānī bhī

laakh husn-e-yaqīñ se baḌh kar hai
un nigāhoñ kī bad-gumānī bhī

tañgnā-e-dil-e-malūl meñ hai
bahr-e-hastī kī be-karānī bhī

ishq-e-nākām kī hai parchhā.īñ
shādmānī bhī kāmrānī bhī

dekh dil ke nigār-ḳhāne meñ
zaḳhm-e-pinhāñ kī hai nishānī bhī

ḳhalq kyā kyā mujhe nahīñ kahtī
kuchh sunūñ maiñ tirī zabānī bhī

aa.e tārīḳh-e-ishq meñ sau baar
maut ke daur-e-darmiyānī bhī

ho ga.ī vo nazar siyānī bhī

din ko sūraj-mukhī hai vo nau-gul
raat ko hai vo rāt-rānī bhī

dil-e-bad-nām tere baare meñ
log kahte haiñ ik kahānī bhī

vaz.a karte koī na.ī duniyā
ki ye duniyā huī purānī bhī

dil ko ādāb-e-bandagī bhī na aa.e
kar ga.e log hukmarānī bhī

jaur-e-kam-kam kā shukriya bas hai
aap kī itnī mehrbānī bhī

dil meñ ik huuk bhī uThī ai dost
yaad aa.ī tirī javānī bhī

sar se pā tak supurdagī kī adā
ek andāz-e-turkamānī bhī

paas rahnā kisī kā raat kī raat
mehmānī bhī mezbānī bhī

ho na aks-e-jabīn-e-nāz ki hai
dil meñ ik nūr-e-kahkashānī bhī

zindagī ain dīd-e-yār 'firāq'
zindagī hijr kī kahānī bhī

Рекомендации по теме