filmov
tv
New Nohay 2024 | Zakhmi Hai Sakina | Farhan Ali Waris | Shahadat Bibi Sakina
Показать описание
New Nohay 2024 | Zakhmi Hai Sakina | Farhan Ali Waris | Noha | 2024 / 1446 | Muharram | shahadat bibi sakina 13 safar
Syed Farhan Ali Waris Presents Shehzadi Bibi Sakina Noha " Haye Itna Mujhe Maara, Haye Zakhmi hai Sakina"
Poetry | Mazhar Abidi
Central Idea | Syed Farhan Ali Waris
Composed by | Syed Farhan Ali Waris
Special Appearance | SYEDA AALI SAKINA & SYEDA ZAARI SAKINA (Daughters of SYED FARHAN ALI WARIS)
Chorus | Rizwan Mirza, Hasnain Mehdi, Moshin Hashmi,, Shahrukh, Sunny
Audio Recording | Owais Qureshi & Hassan Qureshi (ODS - Studio Karachi)
Audio Mixed & Mastered by | Omar Qureshi (ODS - Studio Karachi)
Video Production | The Focus Studio
Director | Safdar Kaleem
Edit | Hujjat Mehdi
DOP | Hansic Yousuf
Art Direction | Ali abbas -Tabish Abbas
Graphics | AR Graphics (abbas)
Technical Team | Muhammd Rizvi, Minhal Rizvi Aun Rizvi Taha Zaidi Faghir abbas Khurram Rizvi Muhammad Zaidi Abbas Rizvi Turab abbas
Special Thanks | FAW Team & Syed Hassan Ayaz Jaffri
#newnohay2024 #bibisakina #farhanaliwaris #ZakhmiHaiSakina #babajaan #noha
Nauha Lyrics |
Baba(a.s.)
Mere Baba(a.s.)
Baba(a.s.)
Mere Baba(a.s.)
Mere Baba(a.s.)
Baba(a.s.)
Chalna Chahoon To Chala Bhi Nahi Jata
Paon Zakhmi Yeh Uthta Hi Nahi Mera
Sona Chahoon To Soya Bhi Nahi Jata
Pusht Zakhmi Hai Zakhmo Se Hai Khoo Behta
Saans Leti Hoon To Dukhti Hain Pasliyan
Dadi Zahra(s.a.) Ki Tarhan
Tooti Hain Pasliyan
Baba(a.s.)
Rukhsar Mere Zakhmi
Kaano Se Lahoo Jari
Bunde Bhi Chinay Mere
Kurta Bhi Jala Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara
Baba(a.s.)
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
= = = = = = = = = =
Dhoondti Phirti Thi Mein Aap Ka Lasha Baba(a.s.)
Ek Zalim Ne Mujhe Rok Ke Mujhse Poocha
Dhoondti Kis Ko Hai Baba(a.s.) Ka Tere Naam Hai Kya
Mere Baba(a.s.) Hain Hussain Ibn e Ali(a.s.) Meine Kaha
Phir Ghaiz Mein Woh Aaya
Chehre Pe Mujhe Mara
Reti Pe Gira Daala
Mein Kehti Rahi Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara
Baba(a.s.)
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba(a.s.)
Raah Mein Chalte Huay Qafla Thehraya Gaya
Pani Le Kar Jo Wahan Shimre Laeen Aaya Tha
Apne Lashkar Ko Wahan Pani Se Sehraab Kya
Pani Dikhla Ke Mujhe Sara Wahin Phenk Diya
Phir Hans Ke Woh Kehta Tha
Piyasa Tujhe Rakhunga
Balon Ko Mere Khencha
Or Khoon Rasa Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara
Baba(a.s.)
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba(a.s.)
= = = = = = = = = =
Pusht Zakhmi Hui Sajjad(a.s.) Ki To Meine Kaha
Haay Maaro Na Usay Bhai Hai Bemaar Mera
Sun Ke Aawaz Meri Shimr Meri Samt Barha
Bhai Ko Chor Diya Phir Woh Sitam Mujh Pe Kya
Mara Mujhe Tamacha
Chehre Se Lahoo Nikla
Woh Haath Sitamgar Ka
Bhaari Tha Bara Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara
Baba(a.s.)
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba(a.s.)
= = = = = = = = = =
Kha Ke Zalim Ke Tamache Mujhe Ghash Aata Tha
Phir Tamacho Se Hi Woh Hosh Mein Le Aata Tha
Hans Ke Kehta Tha Bula Baba(a.s.) Ko Ammu Ko Bula
Jitna To Roye Gi Utna Hi Tujhe Marunga
Phir Dil Mera Ghabraya
Or Jism Bhi Tharraya
Yeh Haal Mera Dekha
Na Reham Kya Baba(a.s.)
Haye Itna Mujhe Maara
= = = = = = = = = =
Mera Nanna Sa Gala Rassi Se Bandhwaya Gaya
Mujh Ko Panjoo Pe Kabhi Kaanto Pe Chalwaya Gaya
Tez Chaltay Huay Naqoo Se Bhi Girwaya Gaya
Sar Ba Rehna Mujhe Bazaar Mein Phirwaya Gaya
Thi Itni Thakan Baba(a.s.)
Paon Bhi Na Uthta Tha
Us Waqt Jo Ghash Aaya
Aise Jagaya Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara
Baba(a.s.)
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara
Baba(a.s.)
Haay Zakhmi Hai Sakina(s.a.)
= = = = = = = = = =
Jab Mein Zindan Se Rehaye kK Khabar Paoungi
Dadi Zahra(s.a.) Ki Mein Turbat Pe Chali Jaoungi
Apni Tooti Hui Pasli Unhe Dikhlaongi
Chaar Saala Mein Zaeefa Hoon Yeh Batlaongi
Hum Dono Hain Mazlooma
Ek Jaisa Hai Ghum Apna
Zalim Ne Jo Rulwaya
Dono Ne Kaha Baba(a.s.)
Haay Itna Mujhe Mara....
Kaisa Woh Mazhar o Farhan Tha Ghum Ka Manzar
Qaid Khanay Mein Sakina(s.a.) Ko Mila Baba(a.s.) Ka Sar
Roi Kuch Der Woh Moon Baba(a.s.) Ke Moon Per Rakh Kar
Bas Yehi Kehte Huay Kar Gaye Duniya Se Safar
Yeh Aakhri Jumla Tha
Ab Sabr Nahi Hota
Sar Ronay Laga Shah(a.s.) Ka
Beti(s.a.) Ne Kaha Baba(a.s.)
Bibi Sakina Nohay Farhan Ali Waris
Bibi Sakina Noha | Baba Jan | Farhan Ali Waris | Farsi | 2020
Bibi Sakina (AS) Noha Playlist by Farhan Ali Waris
Farhan Ali Waris | Sakina Jan | Farsi | 2021 | سکینہ جان | اردو - فارسی | پاکستانی
Farhan Ali Waris | Baba Main Sakina | Farsi | 2023 | بابا میں سکینہ | اردو - فارسی | پاکستانی

Комментарии