Jagjit Singh - Aaj Hum Bichhde Hain To Kitne Rangeele-(Love Is Blind-'97)

preview_player
Показать описание
Aaj Hum Bichhde Hain To
Kitne Rangeele Ho Gaye-(Shahid Kabir)-
Jagjit Singh. (Album: Love Is Blind-1997).

Lyrics in Hindi & English:-
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए-
(शाहिद कबीर) - जगजीत सिंह.

आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए
मेरी आंखें सुर्ख़ तेरे हाथ पीले हो गए
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए

कब की पत्थर हो चुकी थीं, मुंतज़िर आँखें मगर
(मुंतज़िर = प्रतीक्षारत)
कब की पत्थर हो चुकी थीं, मुंतज़िर आँखें मगर
छू के जब देखा तो मेरे हाथ गीले हो गए
छू के जब देखा तो मेरे हाथ गीले हो गए
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए

जाने क्या एहसास साज़-ए-हुस्न के तारों में है
जाने क्या एहसास साज़-ए-हुस्न के तारों में है
जिनको छूते ही मेरे नग़मे रसीले हो गए
जिनको छूते ही मेरे नग़मे रसीले हो गए
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए

अब कोई उम्मीद है 'शाहिद' न कोई आरज़ू
अब कोई उम्मीद है 'शाहिद' न कोई आरज़ू
आसरे टूटे तो जीने के वसीले हो गए
(वसीले = जरिये)
आसरे टूटे तो जीने के वसीले हो गए
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए
मेरी आंखें सुर्ख़ तेरे हाथ पीले हो गए
आज हम बिछड़े हैं तो कितने रंगीले हो गए
- शाहिद कबीर
--------------------
Aaj Hum Bichhde Hain To
Kitne Rangeele Ho Gaye-
(Shahid Kabir) by Jagjit Singh.
(Album: Love Is Blind-1997).

Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye
Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye
Meri aankhen surkh tere haath peele ho gaye
Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye

Kab kee patthar ho chukee theen
muntazir aankhen magar
Kab kee patthar ho chukee theen
muntazir aankhen magar
Chhoo ke jab dekha to mere haath geele ho gaye
Chhoo ke jab dekha to mere haath geele ho gaye
Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye

Jaane kya ahsaas saaz-e-husn ke taaron mein hai
Jaane kya ahsaas saaz-e-husn ke taaron mein hai
Jinko chhoote hee mere naghmen raseele ho gaye
Jinko chhoote hee mere naghmen raseele ho gaye
Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye

Ab koyi ummeed hai 'Shahid' na koyi aarzoo
Ab koyi ummeed hai 'Shahid' na koyi aarzoo
Aasre toote to jeene ke waseele ho gaye
Aasre toote to jeene ke waseele ho gaye
Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye
Meri aankhen surkh tere haath peele ho gaye
Aaj hum bichhde hain to kitne rangeele ho gaye
- Shahid Kabir
===========
Vinod Sehgal @ URL:
Asha Bhosle @ URL:
Mukesh - Film Songs-(Videos) @ URL:
Hariharan - Ghazals @ URL:
Mehdi Hassan - Ghazals @ URL:
Devotional Music @ URL:
Indian Classical (Instrumental) Music @ URL:
Ameer Khusrau @ URL:
Punjabi Music @ URL:
Anup Jalota - Ghazals & Bhajans @ URL:
Pankaj Udhas - Ghazals @ URL:
Mukesh - Ghazals @ URL:
Lata Mangeshkar – Film & Non-Film Songs @ URL:
Lata Mangeshkar – Ghazals @ URL:
Ghulam Ali – Ghazals @ URL:
Mohammed Rafi – Ghazals @ URL:
Miscellaneous @ URL:

And, many more @ scsharma is back @ URL:

#jagjitsingh #chitrasingh #ghulamali #hariharan #chhayaganguli #sudhamalhotra #mohammedrafi #latamangeshkar #ashabhosle #mukesh #anupjalota #talatmahmood #mehdihassan
========
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

Pehli baar sunn rahi hun, Shahid Kabir saab ka kalaam....Kuchh alag kism ki shayari..bichhaDne ke gham ko bhi raseela bana diya..Aaj hum bichhade hain to, kitne rangeele ho gaye...Meri aankhen surkh, tere haath peele ho gaye...
Aakhir ke ash'aar mein, shaayar ke dard ka ahsaas hota hai..Ab koii ummeed hai 'Shahid' naa koii aarzu..Aasre toote to jeene ke vaseele ho gaye..
Jagjitji ki makhmali aawaaz mein gaayi ye ghazal, aur bhi haseen ho gayi...Sangeet bhi bahut hi aalishaan..
Shukriya.! Suresh ji, itnee naayaab aur khubsurat ghazal upload karne ke liye .!..Mann ati prasann hua sunn kar.!
Shubh kaamnaaein.! ..👌👌👍 🙏

vichitram
Автор

You are posting great collection.
Request you to keep lyrics in sync. Many give lyrics in both language but in sync.

hemantgandhi