SAB YAAD HAI MAULA - ALI SHANAWAR - 8D NOHA

preview_player
Показать описание
YA ALI MADAD(as)

Ali Shanawar | Sab Yaad hai Maula(as) (8D AUDIO)

If you like it please subscribe and turn on the notifications for more
(Use headphones and close your eyes for the best experience)

Follow Ali Shanawar:
Snapchat: alishanawarR

Follow 8D Nauha

●● NAUHA LYRICS ● ●

Ya Hussain Hussain Hussain

Jari Hai Sadiyon Say Safar Karbobala Ka
Karwan Chalta He Raha Ahl E Aza Ka
Jaisay Kabhi Maula Ne Hum Ko Na Bhulaya
Hum Ne Bhi Wallah Na Maula Ko Bhulaya

Sab Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Han Yaad Hai Maula Sab Yaad Hai Maula
Woh Tera Sar Na Jhukana Apnay Waday Ko Nibhana
Tum Ko Bhoola Na Zamana Maula Maula

Kaise Hussain Aap Ki Hum Shan Batayen
Kaise Woh Alfaaz Bhala Dhoond Ky Layen
Kitna Hai Baichain Yeh Dill Kaisay Batayen
Kaash Yeh Dill Khol Ky Hum Tum Ko Dikhayen
Tum Ko Hum Nay Na Bhulaya
Ghum Yeh Bachpan Say Manaya
Aur Sab Ko Hai Sunaya
Maula Maula

Na Bhoolay The Na Bhoolen Gaye Ye Ghum Tera Hussain
Wallah RahaeGa Yeh Sada Yaad Ya Hussain

Karbobala Ata Hai Ab Sara Zamana
Kaise Bani Kis Nay Kiya Is Ko Mualla
Kis Ki Hai Jageer Yahan Kon Hai Rehta
Kon Hai Is Saltanat e Noor Ka Maula
Woh Hussain Ibne Ali Hai
Woh Nawasa E Nabi Hai
Karbala Jis Se Saji Hai
Maula Maula

Maula Hussain Aap Say Kya Kya Nahi Seekha
Kya Hai Behan Bhai Ka Maan Baap Ka Rishta
Kaisi Ho Aulad Yahan Dost Ho Kaisa
Hum Ko Yeh Sab Karbobala Mein Nazar Aaya
Kahin Ghazi Sa Baradar Kahin Beta Ali Akbar
Kahin Zainab Si Woh Khuahar Maula Maula

Pehli Dafa Karbobala Jab Main Gaya Tha
Charon Taraf Mere Tha Jannat Ka Nazara
Mera To Har Lamha Ibadat Mein Hi Guzra
Jaagna Din Raat Azadaron Mein Rehna
Kabhi Is Rozay Pe Jana
Kabhi Us Rozay Pe Jana
Farsh Matam Ka Bichana
Maula Maula

Aaj Bhi Hum Aisay Muharram Hain Manate
Apnay Gharon Mein Hain Aza Khanay Sajate
Sare Azadar Sabeelen Hain Lagatay
Naam Py Maula Kay Tabarruk Hain Khilate
Kalay Kaprhay Hain Pehante
Farsh E Matam Hain Bichate
Aap Ka Gham Hain Manatay
Maula Maula

Jab Bhi Alam Dekha Alamdar E Wafa Ka
Yaad Hamain Aaya Woh Mashkeeza Woh Dariya
Laot Ke Jab Aaya Na Saqqa E Sakina
Lut Gaye Sadaat Sitam Kya Nahi Dekha
Kabhi Bazar Mein Jana
Kabhi Darbar Mein Jana
Kabhi Zindaan Nibhana
Maula Maula

Kal Tu Thy Ashoor Mein Tanha Meray Maula
Aaj Hai Sath Aap Ke Yeh Sara Zamana
Aaj Ko Har Nasl Ne Har Qaom Nay Mana
Hota Hai Har Mulk Mein Labbaik Hussaina
Ab To Har Dill Ka Hai Nara
Ab To Har Ghar Hai Tumhara
Sara Aalim Yeh Pukara
Maula Maula

Nauha | sab yaad hai maula
Recited By | Ali Shanawar
Poetry: Nadeem Sarwar, Jawad Jafri & Ali Shanawar

#SabYaadhaiMaula
#alishanawar
#noha

I AM USING THIS AUDIO ONLY FOR FAIR USE UNDER COPYRIGHT LAW
Рекомендации по теме