Dua-e-Alqama

preview_player
Показать описание
#DuaeAlqama#naginaehayat

Mohammad Bin Khalid Tayasi ne Saif Bin Umaira se riwayat ki hai ke mein Safwan Bin Mehran aur ashaab ki aik jamat ke saath Najaf ki taraf rawana hone laga.Imam Sadiq a.s ke hairah se Madina ki janib nikalne ke baad, Toh jab Ziyarat e Ameeral Momineen a.s se farigh hua toh Safwan ne apna rukh Mashad Imam Hussain a.s ki taraf kiya aur hum se kaha ke Ameeral Momineen a.s ke balay sar se ishara kar ke Imam Hussain a.s ko salam karo ke aisa amal Imam Sadiq a.s ne bhi kiya hai. Jab mein Hazrat ki khidmat main tha. Saif ka bayan hai ke iss ke baad Safwan ne wohi Ziyarat parhi. Jo Alqama Bin Mohammad Hazrami ne Imam Mohammad Baqir a.s se roz e ashoor nakal ki hai. Iss ke baad Ameeral Momineen a.s Balay sar 2 rakat namaz ada ki aur namaz ke baad Ameeral Momineen a.s ko rukhsat kiya aur ishara kiya Qabar e Imam Hussain a.s ki taraf aur salam o ziyarat ke baad Hazrat ko bhi wida kiya aur jo duae'in parhin, Un main se aik dua yeh bhi thi. Dua e Alqama.
Facebook 👇
Instagram 👇
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

MOLA A.S AJAR ATA FARMAE AMEEN, MASHA'ALLAH ❤️

sumbaljaved