FINDING HER || KUSHAGRA || LYRICAL VIDEO || absolute tunes

preview_player
Показать описание
hello everyone thanks for watching ..

Finding Her
Song by Bharath, Kushagra, and Saaheal ‧ 2025
lyrics
Hm, jaana, tu aata nahin
Sapnon se jaata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Jaana, mere sawaalon ka manzar tu
Haan, main sookha sa, saara samandar tu
Haan, gulabi si surkhi jo dikhti thi
Phir se dikh jaye to ji bhar ke saah bhar loon
Kaati kitni thi raatein, nahin soya main
Tujhko kitna bulaaya, phir roya main
Teri saari wo baatein kyun sone nahin deti
Sataaye mujhe, haan, phir khoya main
Tu aata nahin
Sapnon se jaata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko bataata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Sambhaal ke rakha wo phool mera tu
Meri shaayari mein zaroor raha tu
Jo aankhon mein pyaari si duniya basaayi
Wo duniya bhi tha tu, wo lamha bhi tha tu
Haan, lagte hain mujhko ye qisse sataane
Deta na dil mera tujhko bhulaane
Adhoore se waade, adhoori si raatein
Ab hisse me daakhil mere bas wo yaadein
Rehna tha ban ke hamdam tera
Aise jaana hi tha, phir tu kyun thehra?
Ab na maane mera dil ke na tere kabil
Thi ik aarzu ki main kehta raha, par
Tu aata nahin
Sapnon se jaata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko bataata nahin
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Source: Musixmatch
Songwriters: Kushagra


this video is for entertainment only ..
Рекомендации по теме
Комментарии
Автор

Please subscribe to my channel guyss😊❤

lyricalvibes-qn
visit shbcf.ru